Bhar do jholi meri ya Muhammad by Adnan at Lil Champs
>> YOUR LINK HERE: ___ http://youtube.com/watch?v=Kh0zrCBRDS0
best performance by a kid at Lil champs • #Adnan_Hussain #bhar_do_Jholi_meri_ya_muhammad #nehakakkar #bestsong #music #bhardoJholimeriyamuhammad #howto #bhardojholi #bhardojholimeriyamuhammad #qwwali • Lyrics • Shah-E-Madeena Suno Ilteja Khuda Ke Liye • Karam Ho Mujh Pe Habeeb-E-Khuda Khuda Ke Liye • Huzoor Ghuncha-E-Ummeed Ab To Khil Jaaye • Tumhaare Dar Ka Gadaa Hoon To Bheek Mil Jaaye • Bhar Do Jholi Meri Ya Muhammad • Lautkar Main Na Jaaunga Khaali • Tumhaare Aastaane Se Zamaana Kya Nahin Paata • Koi Bhi Dar Se Khaali Maangne Waala Nahin Jaata • Bhar Do Jholi Meri Sarkaar-E-Madeena • Bhar Do Jholi Meri Taajdaar-E-Madeena • Tum Zamaane Ke Mukhtaar Ho Ya Nabi • Bekason Ke Madadgaar Ho Ya Nabi • Sab Ki Sunte Ho Apne Ho Ya Ghair Ho • Tum Ghareebon Ke Gham-Khwaar Ho Nabi • Bhar Do Jholi Meri Sarkaar-E-Madeena • Bhar Do Jholi Meri Taajdaar-E-Madeena • Hum Hain Ranj-O-Museebat Ke Maare Hue • Saqt Mushkil Mein Hain Gham Se Haare Hue • Ya Nabi Kuchh Khudaara Humein Bheek Do • Dar Pe Aaye Hain Jholi Pasaare Hue • Bhar Do Jholi Meri Sarkaar-E-Madeena • Bhar Do Jholi Meri Taajdaar-E-Madeena • Hai Mukhaalif Zamaana Kidhar Jaaein Hum • Haalat-E-Bekasi Kisko Dikhlaaye Hum • Hum Tumhaare Bhikaari Hain Ya Mustafa • Kiske Aage Bhalaa Haath Phailaayein Hum • Bhar Do Jholi Meri Sarkaar-E-Madeena • Bhar Do Jholi Meri Taajdaar-E-Madeena • Bhar Do Jholi Meri Ya Muhammad • Lautkar Main Na Jaaunga Khaali • Kuchh Nawaason Ka Sadqa Ataa Ho • Dar Pe Aaya Hoon Bankar Sawaali • Haq Se Paayi Wo Shaan-E-Kareemi • Marhaba Dono Aalam Ke Waali • Uski Qismat Ka Chamka Sitaara • Jis Pe Nazr-E-Karam Tum Ne Daali • Zindagi Bakhsh Ki Bandagi Ko • Aabroo Deen-E-Haq Ki Bachaali • Wo Muhammad Ka Pyara Nawaasa • Jisne Sajde Mein Gardan Kataali • Jo Ibn-E-Murtaza Ne Kiya Kaam Khoob Hai • Qurbaani-E-Hussain Ka Anjaam Khoob Hai • Khurbaan Ho Ke Fatema Zehra Ke Chain Ne • Deen-E-Khuda Ki Shaan Badhaayi Hussain Ne • Bakhshi Hai Jisne Mazhab-E-Islam Ko Hayaat • Jitni Azeem Hazrat-E-Shabbir Ki Hai Zaat • Maidaan-E-Karbala Mein Shah-E-Khush Khisaal Ne • Sajde Mein Sar Kataa Ke Mohammad Ke Laal Ne • Zindagi Bakhsh Di Bandagi Ko • Aabroo Deen-E-Haq Ki Bachaali • Wo Muhammad Ka Pyara Nawaasa • Jisne Sajde Mein Gardan Kataali • Hashr Mein Unko Dekhenge Jis Dam • Ummati Ye Kahengey Khushi Se • Aa Rahey Hain Wo Dekho Mohammad • Jinke Kaandhe Pe Kambli Hai Kaali • Mehshar Ke Roz Pesh-E-Khuda Hongey Jis Ghadi • Hogi Gunahgaaron Mein Kis Darjaa Bekali • Aate Hue Nabi Ko Jo Dekhenge Ummati • Ek Doosre Se Sab Ye Kahengey Khushi Khushi • Aa Rahey Hain Wo Dekho Mohammad • Jinke Kaandhe Pe Kambli Hai Kaali • Sar-E-Mehshar Gunahgaaron Se Purzish Jis Ghadi Hogi • Yaqeenan Har Bashar Ko Apni Bakhshish Ki Parhi Hogi • Sabhi Ko Aas Us Din Kambli Waale Se Lagi Hogi • Ke Aise Mein Mohammad Ki Sawaari Aa Rahi Hogi • Pukaarega Zamaana Us Ghadi Dukh Dard Ke Maaron • Na Ghabraao Gunahgaaron Na Ghabraao Gunahgaaron • Aa Rahey Hain Wo Dekho Mohammad • Jinke Kaandhe Pe Kambli Hai Kaali • Aashiq-E-Mustafa Ki Azaan Mein Allah Allah Kitna Asar Thha • Sachaa Ye Waaqiya Hai Azaan-E-Bilaal Ka • Ek Din Rasool-E-Paak Se Logon Ne Yun Kahaa • Ya Mustafa Azaan Ghalat Dete Hain Bilaal • Kahiye Huzoor Aapka Is Mein Hai Kya Khayaal • Farmaaya Mustafa Ne Ye Sach Hai To Dekhiye • Waqt-E-Sahar Ki Aaj Azaan Aur Koi De • Hazrat Bilaal Ne Jo Azaan-E-Sahar Na Di • Khudrat Khuda Ki Dekho Na Mutlaq Sahar Hui • Aaye Nabi Ke Paas Kuchh As'haab-E-Baasabaa • Ki Arz Mustafa Se Ay Shah-E-Ambiya • Hai Kya Sabab Sahar Na Hui Aaj Mustafa • Jibreel Laaye Aise Mein Payghaam-E-Kibriya • Pehle To Mustafa Ko Adab Se Kiya Salaam • Baad As Salaam Unko Khuda Ka Diya Payaam • Yun Jibraeel Ne Kahaa Khair Ul Anaam Se • Allah Ko Hai Pyar Tumhaare Ghulaam Se • Farmaa Raha Hai Aap Se Ye Rabb-E-Zuljalaal • Hogi Na Subha Dengey Na Jab Tak Azaan Bilaal • Aashiq-E-Mustafa Ki Azaan Mein Allah Allah Kitna Asar Thha • Arsh Waale Bhi Sunte Thhey Jisko • Kya Azaan Thi Azaan-E-Bilaali • Kaash Purnam Se Aaye Nabi Mein • Jeete Ji Ho Bulaawa Kisi Din • Haal-E-Gham Mustafa Ko Sunaaoon • Thhaam Kar Unke Rauze Ki Jaali • Bhar Do Jholi Meri Ya Muhammad • Lautkar Main Na Jaaunga Khaali
#############################
