quotजब माता सीता ने लक्ष्मण के सामने खींची सीता रेखा रामायण कथाquot
>> YOUR LINK HERE: ___ http://youtube.com/watch?v=dackrtDt710
जब माता सीता ने लक्ष्मण के सामने खींची सीता रेखा : रामायण कथा • Jab Maa Sita ne Lakshman ke samne khinchi Sita Rekha, Lakshman Shriram ke chhote bhai aur Sheshnag ke avatara the. Lakshman Shriram aur Maa Sita ko apne mata-pita tulya maante the, lekin ek kshan unke jeevan mein aisa aaya jab unhone khud ko ekdam nihsahay mahsoos kiya tha. Yeh woh kshan tha jab Maa Sita ne unke samne Sita Rekha khinchi thi aur unhe seemaon mein bandh diya tha. Aaj hum aapko uss ghatna ke baare mein batayenge. • Maa Sita ne Lakshman ke samne khinchi Sita Rekha • Maa Sita ko mila vanvaas • Shriram ke rajyabhishek hone ke kuch dinon ke baad Ayodhya ki praja dvara Maa Sita ki pavitrata par prashn uthaye jaane lage. Is baat ka pata jab Maa Sita ko chala toh unhone swayam hi Shriram ke dwara apna tyag karne aur van mein jaane ka nirnay liya. Shriram ne unhein rokne ka bahut prayas kiya lekin Maa Sita unhein apne vachano mein baandhkar van ki or prasthan kar gayi. Iski jaankari kisi ko nahi di gayi thi, keval Lakshman ko Maa Sita ko van mein chhod aane ka adesh mila tha. • Lakshman ka vilap • Jab Maa Sita Lakshman ke saath rath mein baithkar van mein pahunch gayi toh unhone Lakshman ko rath rokne tatha vahan se vaapas laut jaane ko kaha. Is par Lakshman vilap karne lage aur vaapas jaane se mana kar diya. Unhone Maa Sita ko kaha ki woh akela unhein van mein nahi jaane denge aur ve bhi unke saath chalenge tatha ek putra ki bhaanti unki seva karenge. • Maa Sita ne Lakshman ko samjhane ka bahut prayas kiya aur vaapas lautkar Prabhu Shriram ki seva karne ko kaha lekin Lakshman bhavna mein bahakar vahan se jaane ko taiyaar nahi the. Ve lagatar haath kar rahe the ki ve yahan se nahi jaayenge aur Maa Sita ki seva karenge. • Maa Sita ne khinchi rekha tatha Lakshman ko baandh diya seemaon ne • Jab Maa Sita ne dekha ki Lakshman aise nahi maanenge toh unhone Lakshman ke saamne ek ped ki daali rakh di tatha kaha ki jis prakar ek din usne Maa Sita ke liye rekha khinchi thi aur use paar karne se mana kiya tha, usi prakar aaj woh Lakshman ke saamne rekha khinch rahi hain aur ek maa ke nate unhein adesh aur apni shapath de rahi hain ki ve ise laanghkar unke peeche nahi aayenge. Itna kehkar Maa Sita ne uss daali ko paar karke van ki or chali gayi. • Lakshman ko apni maa samaan Sita se adesh mila tha jiski wajah se ve bilkul asahay the. Yeh vivashata aisi thi ki ve chaahkar bhi uss rekha ko paar nahi kar sakte the. Isliye unhein vivash hokar punah Ayodhya lautna pada. • Keywords:- • Mata sita ka dharti mai samana // mata sita ke dharti mai samane ke baad // mata sita ka sharp // mata sita swayamvar // mata sita ka Krodh // sita Rekha // laxman yudh • About me: I am making YouTube video's on the topic related to ramayan, if you enjoyed our content so you guys can subscribe our channel to make begin of this beautiful journey ☺️ • • #ramayankatha #ramayanonyoutube #ramayan
#############################
