Main Madine Chala Full Naat By Owais Raza Qadri Heart Touching Naat
>> YOUR LINK HERE: ___ http://youtube.com/watch?v=dh4zaGSRd1M
Main Madine Chala |Full Naat | By Owais Raza Qadri Heart Touching Naat • Main madinay chala, mein Madinay chala, • Phir karam ho gaya main Madinay chala. • Kaif sa cha gaya main madinay chala, • Jhoomta jhoomta main madinay chala. • Mere Aaqa ka darr hoga paish-e-nazar, • Chahiye aur kya main Madine chala. • Darkano tumhi kaho waqt woh kaisa hoga, • Samanay ankhon kay jab gunbad-e-sabz ho ga. • Gumbad-e-sabz par jab paray gi nazar, • Kya suroor aega main Madinay chala. • Jab gumbad-e-khizra pe woh, pehli nazar gayi, • Aankhon kay raastay meray dil mein uttar gayi. • Sabz gunbad ka noor zang kar day ga dur, • Paye ga dil jila, main Madinay chala. • Ashk thamtay nahi, paon jamtay nahi, • Larkharaata hua main madinay chala. • Mere Siddique Umar ho salam aap par, • Aur rehmat sadaa main Madinay chala. • Woh uhod ki zammen jis k ander makeen, • Mere hamza piya main Madinay chala. • Unka gham chasham-e-tarr aur sauz-e-jigar, • Ab tou dai dai Khuda (SWT) main Madinay chala. • Saaqia mai pila main madinay chala, • Mast-o-bekhud bana main Madinay chala. • Ae shajar a hajar tum bhi shams-o-qamar, • Daikho daikho zarra main Madinay chala. • Daikh taaray mujhe, yeh nazaray mujhe, • Tum bhi daikho zarra main Madinay chala. • Rooh-e-muztar theher tu nikalna udher, • Itni jaldi bhi kya main Madinay chala. • Haath uth’tay rahain mujhko daitay rahain, • Woh talab se siwa main Madinay chala. • Noor-e-haq k Hazoor apnay saray kasoor, • Bakhswanay chala main Madinay chala. • Woh Bakee ki zameen jis k ander makeen, • Mere Madani Zia main Madinay chala. • Un k minaar par jab paray gi nazar, • Kya saroor aega main Madinay chala. • Minbar-e-noor par jab uthay gi nazar, • Kya saroor aega main Madinay chala. • Dard-e-ulfat milay zauq barhnay lagay, • Jab chalay qaafila main Madinay chala. • Kya karega idher baandh rakht-e-safar, • Chal obaid-e-raza main Madinay chala. • Kya yeh tu ne kaha a Ubaid-e-Raza, • Soch tou kuch zarra main Madinay chala. • Main tou bus yoon hi tha main ki aukaat kya, • Qaafia yeh mila main Madinay chala. • Lutf tou jab milay mujh se murshid kahain, • Chal Obaid-e-Raza main Madinay chala. • Noori Islamic Video's • LIKE !! COMMENT !! SHARE • Stay connected with us!! • Subscribe Noori Islamic Video's channel for Islamic Video's.. • / nooriislamicvideos • ⓣFollow us on Twitter • / noori_images • ⓕ Like us on Facebook • / noori.islamic.images • ℹ Follow us on Instagram • / noori_islamic_images • 🅱Follow us on Blogger • http://nooriislamicimage.blogspot.com/
#############################
