NEW YouTube Community Guidelines System
#############################
Video Source: www.youtube.com/watch?v=K8V5jQe5MLM
YouTube ki Community Guidelines se pata chalta hai ki YouTube par kis type kaa content upload kiya jaa sakta hai aur kis type kaa nahi. Ab Community Guidelines ke violation ki warning milne par, creators khaas taur par taiyaar kiye gaye training course mein shaamil ho sakte hain. Is course ko poora karne par, creator ke channel se warning hata di jaayegi. Aisa tab hoga, jab creators 90 dinon ke andar usi policy kaa dobaara violation na karein. Pehle creators ko channel par hamesha ke liye ek hi warning milti thi. Lekin training poori karne ke baad, ab alag-alag policy ko violate karne par, unhein alag-alag warning milengi. Iska matlab hai ki creators behtar tareeqe se jaan paayenge ki unke content par kin vajahon se policy violate karne ki warning aai hai. Saath hi, unhein ek se zyaada courses mein shaamil hokar policy ke baare mein jaanne ke zyaada mauke milenge. Hamaara maanna hai ki is update se hamaari policies kaa paalan karne wale bahut se creators ko faayda milega. Saath hi, isse YouTube ko sabhi ke liye ek surakshit aur zimmedar platform banaaye rakhne mein madad milegi. • YouTube ki Community Guidelines ke baare mein zyaada jaankari ke liye, ye link dekhein: https://support.google.com/youtube/an... https://support.google.com/youtube/an...
#############################