YaumeSajjad as Sajjadbagh lucknow Kahti hai ye ro ro ke bahan Anjuman Asghariya Amhat
>> YOUR LINK HERE: ___ http://youtube.com/watch?v=OOJvleHC9cg
#YaumeSajjad #AnjumanAsghariya #AmhatSultanpur • Kahti hai ye ro ro ke bahen Aye Mere Ghazi • Parde ka karo koi jatan aye mere Ghazi | • Abbas Ghaiyyoor mere bhai..... • Aaghosh pe ismat ke bahen teri pali thi • Kya jazba-e-ehsas liye ghar se chali thi • Itna to tasawwur me bhi paidal na chali thi • Is baat ki dil me chhubhan aye mere Ghazi • Kahti hai ye ro ro ke bahen.................. • Tha na naaz mujhe is pe bahen hun mai tumhari • Kya soch ke zalim ne rida sar se utari • Be maqna-o-chadar hun na mahmil na amaari • Lo bandhti hai shanon me rasan aye mere Ghazi • Kahti hai ye ro ro ke bahen aye mere Ghazi........................... • Laye the #Madeene se badi shan se bhaiyya • Hai kaun yahan apna karun kis se mai shikwa • Be goro kafan dhoop me hai Shaah ka lasha • Ye dekh ke hoti hai ghutan aye mere Ghazi • kahti hai ye .................. • Daman me #Sakeena ke idhar aag lagi thi • Har ek se #Maqtal me pata puch rahi thi • Beemaar tha bistar pe meri jaan pa bani thi • Lut ta raha #Zahra Ka chaman aye mere Ghazi • Abbas #GhaiyyurMereBhai ....... • Bhai mera mazloom hai duniya se kahungi • Jab tak jiyungi na use bhul sakungi • #Nauha mere ghaiyyoor tumhara hi padhungi • De pai na bhai ko kafan aye mere Ghazi • #AbbasBePardaHaiMajai .............. • Royega mere bhai ko ta hashr zamana • Kya jane kahan hoga muqaddar ka thikana • Ummat ke liye sabko luta aai hun nana • Markad pe the zainab ke sukhan aye aye mere Ghazi • Kahti hai ye ro ro ke bahen................ • Akhtar ye haqeeqat hai chhupa bhi nahi sakta • Alfaz me wo dard Naqi la nahi sakta • Wo zakhm hai dil par jo dikha bhi nahi sakta • Bhar jae jahan lashon se ban aye mere Ghazi | • Yaum-e-Sajjad A.S. Sajjad Bagh Colony • Daulatganj, Lucknow • Organizer: Anjuman Sajjadiya, Sajjadbagh, Lucknow • Video Recording: #AzamgarhAzadari Team
#############################